Sunday 9 June 2013

Dil me ek ajib si bechaini hai,
Chehre par kabhi na khatm hone wali udasi hai.

Jitna v sambhal kar kuchh karta hun,
Utna hi bhuktan bharta hun.

Dil ki shanty k liye,
 sab par ilzam lagata hun,
dil to pareshan ho uthta hai,
jab khud paar v ilzam nai laga pata hun.

Ankhe to rote rote such chuki hai.
Par khud ki galtiyon ko na dund pane par
Ye sukhi ankhe v dub jati hai.

Har pal ek lachari mahsus karta hun,
Himmat to tut jati hai,
Jab ek baisakhi v nai dund pata hun.

Bechaini to bad jati hai tab aur v dil ki,
Jab kisi ko karan v nai bata pata rone ki.

Jagah jagah talash karta hun santi man ki,
Dar to yah soch kar lagta hai,
Kahi ye talash khatm na ho bad mere maut ki…

IMRAN AFTAB