Tuesday, 1 October 2013


kya khusi kya gam,
har pal tut te jate hai hum.

jindagi dikhlata hai jhuta sapna,
jo ki hai hi nahi apna.
har pal kuchh galti karte hai hum,
kuchh chijon k lliye barson rote hai hm.


kya khoya hamne kya paya hmne,
ye pata v nai kiya hamne.
apno se muh modte hai hum,
sachchayi se darte haii hum.

jab mera kuchh tha hi nahi,
to khona kya.
jab mera kuchh hoga hi nahi,
to pana kya?

man ki bat hi hai nirali,,
kav kuchh to kav haii sikhlati.
ab nahi royenge hum,
bas apna kartavya pura kar chale jayengge hum.....

IMRAN AFTAB