Tuesday 1 October 2013


kya khusi kya gam,
har pal tut te jate hai hum.

jindagi dikhlata hai jhuta sapna,
jo ki hai hi nahi apna.
har pal kuchh galti karte hai hum,
kuchh chijon k lliye barson rote hai hm.


kya khoya hamne kya paya hmne,
ye pata v nai kiya hamne.
apno se muh modte hai hum,
sachchayi se darte haii hum.

jab mera kuchh tha hi nahi,
to khona kya.
jab mera kuchh hoga hi nahi,
to pana kya?

man ki bat hi hai nirali,,
kav kuchh to kav haii sikhlati.
ab nahi royenge hum,
bas apna kartavya pura kar chale jayengge hum.....

IMRAN AFTAB

Sunday 14 July 2013

IN MEMORY OF SOMEONE WHO IS NOT WITH US

gum ke badal chayen hai.
sab ki aankhen num hai...

wo muskurata chehra aaj ruth gaya...
sabki dilon me apni yaadein chod gaya..

ye kaisa niyam hai kudarat ka..
khusi se phle kyun likhta hai kahani gum ka ...

na ye meri jism hai..
na ye meri ruh hai..

kis glalatfehmi me jite hai hum..
kyun har chiz ko manlete hai hum..l.

kyun bnaya yeh sabd "mera"...
jlab kuch hai hi nhi mera ..

har din pyar se ek naya rishta bnate hai hum...
par kyun ek jhatke me sare bandhan tod jate hai hum...

janna chate hai hum
kai ansujhi batein .
sayad kuch haan aur sayad kuch nhi jan pate hai hum.
aant me khud hi ek ansuljhi kahani ban jate hai hum....


IMRAN AFTAB

Sunday 9 June 2013

Dil me ek ajib si bechaini hai,
Chehre par kabhi na khatm hone wali udasi hai.

Jitna v sambhal kar kuchh karta hun,
Utna hi bhuktan bharta hun.

Dil ki shanty k liye,
 sab par ilzam lagata hun,
dil to pareshan ho uthta hai,
jab khud paar v ilzam nai laga pata hun.

Ankhe to rote rote such chuki hai.
Par khud ki galtiyon ko na dund pane par
Ye sukhi ankhe v dub jati hai.

Har pal ek lachari mahsus karta hun,
Himmat to tut jati hai,
Jab ek baisakhi v nai dund pata hun.

Bechaini to bad jati hai tab aur v dil ki,
Jab kisi ko karan v nai bata pata rone ki.

Jagah jagah talash karta hun santi man ki,
Dar to yah soch kar lagta hai,
Kahi ye talash khatm na ho bad mere maut ki…

IMRAN AFTAB